Raat hans hans kar yeh kahti hai ke maikhane mein chal,.
Phir kisi shahnaaz lala rukh ke kaashaane mein chal,
Yeh nahin mumkin tau phir ai dost weeane mein chal;
Ai ghum-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon?
Har taraf bikhri hui rangeenian , ranaaian,
Har qadam par ishraten leti hui angraaian,
Barh rahi hain god phailae hue ruswaaine;
Ai ghum-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon?
Raaste mein ruk ke dam le loon miri aadat nahin,
Laut kar waapis chala jaaon miri fitrat nahin;
Aur koi humnawa mil jaae yeh qismat nahin;
Ai ghum-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon?
Muntezir hai ek toofan-e-bala mere lieye,
Ab bhi jaane kitne darwaaze hain waa mere lieye;
Par museebat hai mira ahd-e-wafa mere lieye;
Ai ghum-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon?
No comments:
Post a Comment